Muharram Ka Maqsad Aur Ahamiyat
Muharram-ul-Haram Islam ka pehla mahina hai, jo Islami tareekh ka bohot aham hissa hai. Is mahine ka maqsad aur ahmiyat Musalmanon ke liye bohot zyada hai, khas tor par Ashura ka din jo Muharram ke 10th din manaya jata hai. Muharram ke mahine ko Quran aur Hadees mein “Shahr-ul-lah” yani Allah ka mahina kaha gaya hai, jo iski fazilat aur taazimiat ko wazeh karta hai.
Muharram Ke Mahine Ki Khususiyaat
Allah ke yeha Ramzan ke baad, Muharram ke alawa koi aur ajamat wala mahina nahi. Muharram kya hai? Yeh ek hurmat wala mahina hai jismein Allah Ta’ala ne humein kuch chizon se roka hai. Jaise ke jung na karna, kisi ke sath zyadti na karna, aur kisi ka haq nahi maarna. Is mahine mein hamein koshish karni chahiye ke jitna ho sake gunaahon se door rahein, kyunki baaki mahino ke muqable mein hurmat walay mahino mein gunaahon ka hisa bada diya jata hai. Aur is dauran hamein apni namazon ka bhi khayal rakhna chahiye, kyunki namaz hum par farz hai aur farz chhorna gunah hota hai.
Ashura Ka Din Aur Uski Ahmiyat
Ashura jo ki 10 Muharram ko hota hai. Es din allah taala ne Musa A.S ke kom ko yani bani israil firon se ajad kiya tha. Aur firon ko halak kiya tha. Goya burai ko Allah tala ne khatam kiya to. To sukrane ke taur pe Musa A.S ne roja rakha tha to yehudi es din roja rakhte the. Aap sallallahu alaihi wasallam ne bhi hame es din roja rakhne ki talkin ki chunache yehudi es din roja rakhte hai to Aap sallallahu alaihi wasallam ne hame 2 roja milake rakhne ka hukum diya. Chahe to 9,10 ko milale ya to 10,11 ko milale.
Esi trah es din ko ek wakya ke liye manaya jata hai. Hazrat Imam Hussain (R.A) aur unke gharane ke qurbanion ki yaad mein bhi manaya jata hai, jo Karbala ke maidan mein zulm ke khilaf lade aur haq aur insaf ki nishani ban gaye.
Ashura ka din humein sabr, adal, aur haq ke liye qurbani dene ka paigham deta hai. Is din ka ek maqsood ye bhi hai ke hum apni zindagi mein sachai aur insaf ko farogh dein aur duniya mein khair aur aman ka paigham phailayein.
Muharram Ke Roza Rakhne Ke Faide
Allah ke yeha Ramjan ke roje ke bad sabse afzal roja Muharram ke roje hai. Nabi sallallahu alaihi wasallam ne farmaya 10 moharram ka roja yani Ashura ka roja hamre pure 1 sal gunah ka kaffara hai. To barhal ese jarur rakhe aur jeisa hame hukum hai milake rakhne ke Waise rakhe.
Muharram Ke Taqreebat Aur Rasm-O-Riwaj
Aj ke daur mein moharram ke aar mein bohot se gunah ham karte jeise na Allah ne hame karne ka hukum diya hai aur na Mohammad sallallahu alaihi wasallam ke sunnat mein milta hai. Jeise ke log es din Hazrat Hussain R.A ke yad se tajiya banate hai apne badan mein chot pahunchate hai. Ye sab shirkh hai aur shirk sabse bara gunah hamein chahiye ke jin cheezo ka hame Allah ne hukum nehi diya aur nahi hame Aap sallallahu alaihi wasallam ke sunnat mein milta hai use nehi kare, usko nehi mane.
Is Mahine Mein Kiye Jane Wale Amal
Es mahine mein bohot se nek amal kiye ja sakte hai jeise ki nafil namaz ki kasrat, roja rakhna, quran ki tilawat aur tahazzud ke namaz. Ye sab behtarin amal hai es mahine mein karne ke liye. Esi trah es mahine mein ye kosis kare jitna chahe gunah kam. Balke hame har gunah chhor deni chahiye sirf esi mahine ke liye hi nehi hamesha ke liye aur Allah tala ke kurb mein ana chahiye.